Shri Krishna tells Arjun that mind is only the issue creator which leads you to wrong places based on your senses but you have to control it to live a good life, if you will not control it, it will always leads you to wrong places.
Inspirational Video : tears in my eyes while watching the video
Jab jab dard ka baadal chhaya Jab gham ka saya lehraaya Jab aansoo palkon tak aaya Jab yeh tanha dil ghabraaya Hum ne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyun rota hai? Duniya mein yun hi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabko hi baante hain Thoda gham hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi nam hai Har pal ek naya mausam hai Kyun tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyun rota hai
Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho. Toh zinda ho tum! Nazar mein khwaabon ki bijliyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum!
Hawa ke jhonkon ke jaise aazad rehna seekho Tum ek dariya ke jaise, leharon mein behna seekho Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein Har ek pal ek naya samaa dekhiye
Jo apni aankhon mein hairaniyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum! Dilon mein tum apni betabiyan leke chal rahe ho Toh zinda ho tum!